Movie: Mera Saaya
Singer: Mohammed Rafi
Music Director: Madan Mohan
Lyricist: Raja Mehndi Ali Khan
aapke pahloo mein aakar ro diye
aapke pahloo mein aakar ro diye
daastaan-e-gham sunaakar ro diye
aapke pahloo mein aakar ro diye
zindagi ne kar diyaa jab bhi udaas
zindagi ne kar diyaa jab bhi udaas
aa gaye ghabraa ke ham manzil ke paas
sar jhukaayaa, sar jhukaakar ro diye
aapke pahloo mein aakar ro diye
shaam jab aansoo bahaati aa gayi
shaam jab aansoo bahaati aa gayi
har taraf gham ki udaasi chhaa gayi
deep yaadon ke jalaakar ro diye
aapke pahloo mein aakar ro diye
gham judaayi kaa sahaa jaataa nahin
gham judaayi kaa sahaa jaataa nahin
aapke bin ab rahaa jaataa nahin
pyaar mein kyaa-kyaa ganwaakar ro diye
daastaan-e-gham sunaakar ro diye
aapke pahloo mein aakar ro diye