Movie: Pagla Kahin Ka
Singer: Mohammed Rafi
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyricist: S.H. Bihari
na ro tu yahan aise pagala kaheen ka
musibat ko apne gale se laga le
tere gham ki duniya tujhe de gaye hain
yahan se wahan rooth kar jaane waale
ae mere dil yahan tu akela nahin
aur bhi hain bahut gham ke maare hue
ae mere dil yahan
har qadam par yahan har mod par
gham ki ik dastaan kah rahi har nazar
kitani bechainiyaan rah ke khamosh bhi
de rahi hain sada bin pukaare hue
ae mere dil yahan
pyaar jisne kiya usko paagal kaha
apani duniya mein ye zulm hota raha
saikadon baar ye khel khela gaya
saikadon baar aise nazaare hue
ae mere dil yahan
aise insaan bhi maine dekhe kai
maut jinke liye zindagi ban gayi
jinki aahon se hai goonjati ye fiza
jinke aansu gagan ke sitaare hue
ae mere dil yahan