Movie: Aarzoo
Singer: Mohammed Rafi
Music Director: Shankar Jaikishan
Lyricist: Hasrat Jaipuri
ae phoolon ki rani, baharon ki malika,
tera muskurana gazab ho gaya
na dil hosh me hai, na ham hosh me hain,
nazar ka milana gazab ho gaya
tere honth kya hain, gulabi kanwal hain
ye do pattiyaan, pyar ki ik ghazal hain
woh nazuk labon se mohobbat ki batein,
hami ko sunana gazab ho gaya
ae phoolon ki rani, baharon ki malika,
tera muskurana gazab ho gaya
na dil hosh me hai, na ham hosh me hain,
nazar ka milana gazab ho gaya
kabhi khul ke milna, kabhi khud jhijhakna
kabhi raaston par behekna machalna
ye palko ki chilman uthakar girana,
girakar uthana gazab ho gaya
ae phoolon ki rani, baharo ki malika,
tera muskurana gazab ho gaya
na dil hosh me hai, na ham hosh me hain,
nazar ka milana gazab ho gaya
ae phoolon ki rani, baharon ki malika,
tera muskurana gazab ho gaya
na dil hosh me hai, na ham hosh me hain,
nazar ka milana gazab ho gaya